शुक्रवार, 5 फ़रवरी 2010

Swasthya Sambandhi suchna ka aadhikar aur manavadhikar...

Ek Gandhi mere aander bhi kahin basta hai. Shayad sare bharatvasiyon ke ander vah aaj tak hain,tabhi vah rashtrapita hain. Jab bhi Gulzar Saheb ki likhi panktiyan 'Machis' film ke gaane ka aantra sunti hoon ' chappa-chappa chrkha chale'-voh bhi kuch ugrvadiyon ke mukh se' tab yah yakeen aur gahra jata hai. Mein bhi chahti hoon sachaai,shanti,vivek,pragati,samridhhi ke rah ko hum jitna sadhe rakhenge- humara swabhiman, deshbhakti,manaviyta,karunabhav swabhav mein shumar ho jayega....!! Phir hum kuch bhi karenge issse humare alava desh ka ya samaj ka qua bhala hoga, yeh sochker karenge.

Aaj mein sanshipt mein soochna ke aadhikar aur khaaskar swashthya sambandhi sewaon mein aam logon ke bhagedari per bolna chahoongi. aap mein se kitne log iss soochna ke aadhikar ke baare mein jante ya isska upyog ker chuke hain?

Kis tarah se hum sab swasthyey sewaon mein aapni sakriya bhagidari nibha sakte hain? Kitnon ko pata hai kaise aapne swasthya ke prati jagrook hona aur uplabhd swasthya sewaon ka zaroorat padne per fayda udhana aavashyak hai? Yah sabka aadhikar hai.Saath hi aagar uske upyog mein koi badha aay too aap sawal bhi utha sakte hain. Yeh aapka aadhikar hi nahin kartavya bhi hai. san 2005 mein soochna ka aadhikar mila jiska matlab hai humare pass vah haq hai ki kisi bhi sarvjanik sarkari tantra se hum sawalat pooch sakte hain. Yeh kisi bhi sanstha ya daftar mein pardarshita vah accountibility banaye rakhne ke liye hai.

Soochna yani koi bhi kagzat chahe record ho,document ho,memoz ho,e-mail ho,vichaar ho, salahein ho, press vigyapti ho, circular order, logbook,contract,reports, papers,sample,models,data....aadi ho...humein aadhikar hai ki...

1-Hum inn karyon ya kagzaton ki jaanch parakh ker sakte hain.

2-Inke baare mein notes bana sakte hain-ya certified copiyan -kagzaton aur records ki jaankari le saakte hain.
3-Audio-video kisi bhi tarah ke documents ko vistaar se dekhne ke liye uplabdh karva sakte hain.

Hur daftar mein Public Information officer hain unka kam hai 30 dinon ke aaander jawab dein. Isske liye kooch fees deni padegi ya fhir vah batainge ki documents quon nahin dikhaye jayeinge.

Section 8 aur 9 ke tahat kuchh jankariyan diya jana mana hai. Swasthya sewaon mein soochna ke aadhikar ke kooch udhahran hain...

1- Soochna ke aadhikar se pata chala Aayurveda kendron ke kitne bure haal hain.

2-Sarkar per tambakooo udhyogon ka dabao taki sachritra sandhesh mita diyein jayeinnnn.

3-Swasthye ke prati agyanta.
4-Swasthya ke aadhar per bijli aur pani connection.
5-Sarkari swasthye sewa scheme
6-Swasthya vah medicine ki shikhsha
7-Aagar Swasthya mantralaya jawab na dein...RTI ke sawalon ko
8-Neem Haqeem...etc

Aditi Foundation ka laqshya hai RTI shashktikaran karyakaram taki isska labh aap sabko mile. Aap ki mada Aditi Foundation karegi, aagar koi samasya ho too.

Issi bhanti swasthya sambandhi manavadhikar ka aarth hai sabhi mahila, Purush,Bade,Chote ko manvadhikar hai ki sharirik aur manasik swasthya ko purii tarah kayam rakh sakein....bina kisi tarah ke bhedbav ke,jivan ke hur shun mein vyakti ki aapni swatantrata, aadhikar pane ka haq hai aur yeh uska manavadhikar hai.

Swasthya Sambandhi manvadhikar hain-

1-Manasik sukun, ya swasthye,shririk swasthya, va prajanan ya yon swasthya.
2-Sab ka bhojan per brabri ka aadhikar.
3-Chahe aap kisi bhi ling,jati vah varg ke hain- Sabhi ko barabar roop mein aachcha swasthya sovidhyein milni chahiye.
4-saf-suthiri peyjal aur sochsthal ki vyavstha honi chahiye.
5-Barabri se rahne(makan) aur jine ka haq bhi manvadhikar hai.
6-Swasthya aur swachch vatavaran bhi humara manavadhikar hai.
7-Daftaron mein suraqshit va svasth mahaul bhi hamara manavadhikar hai, visheshkar garbhvati mahila ko vishesh suraksha milna zaroori hai, varna ma-bachche ko nuksaan ho sakta hai.
8-Samajik kuritiyon ki vajah se bhedbhav, khaskar kanya broon hatya manavadhikar ke kilaf hai.
9-Humara manavadhikar hai ki humein swasthey sambhandhi shiksha aur soochna ka aadhikar hai, visheshkar jachaggi aur family planning ki-taki ve aapni prajanan swasthya ka khyal rakh sakein.
10-Bachon ka swasthye sambandhi manavadhikar hai ki unhein samprun vikas yani santoolit sharirik aur manasik vikas ka mahaul mil sake.

कोई टिप्पणी नहीं: