शुक्रवार, 5 फ़रवरी 2010

30 jan-vishwa kusht rogya diwas....vibha.c.Tailang

FHIR SE MAHAMARI KI AAHAT-KUSHT KA ROG

Aaj viksit aur vikassheel deshon ke beech jo asamanta ki khai hai usse patne ki bharsak koshish chaal rahi hai. Per ek samanta hai jo logon ko nazar nahin aa rahi hai, vah hai, KUSHTPIDIT logon ke saaath bhedbhav bhara aasamanya vyavhaar aur iss bimari ko karne ka ek sarthak prayas.

Leprosy yani kusht ki bimari tvacha aur snayu ko prabhavit karti hai. Agar isska illaj vaqt rahte na kiya jaye to shakl aur sharir ke doosre aang galne lagte hein. Iss bimari se anekon kisse aur bhrantiyan judin hein. Kucch isse purv janm ke pap ki saza mante hein. Kuchh purane v naye testament ka zikr kerte hein to koi pracheen china ke dastavezon ka udaharann dete hein. Chatthi shatabadi ke bhartiye sahitya mein bhi isska zikr hai. Salon saal inn kissse aur kahaniyon ne iss bimari ke prati logon ke sooch mein darr aur ghrina ki bhavna bhar di. Inn per aadharit filmein bani, natak aur dharavahik banaye gaye. Per inn logon ke prati chuachut ki bhavna aur inhein aachut man ker privaar aur jaat se bahar ker ekaki aur aasahaye jivan vyatit kerne per majboor kerna aab taq jari hai. Abhi bhi iss rog se pidit vyakti doosron ke daan per ya bhik maang ker gujaara kerne per majboor hein. Gine-chune log hi isse hein jo aatmnirbhar hein. Iss ekissvin sadi mein bhi kusht prabhavit rogiyon ko thik ho jane ke baad bhi rogi ki tarah vyavhaar kiya jaata hai. Shaadi-vivah,naukari ya samanya padhai se bhi ve mohtaj ker diye jate hein. Bharat samet kai desh hein jahan ka kanoon iss rog se grasit vyatiyon aur samanya nagrik mein bhedbhav karta hai. Anya deshon mein America,Brazil,China,Ghana,Japan jaise desh hain jahan manavadhikaron ke hanan ka mamla aaksar samne aata hai.

Aaj ki tarikh mein taaza aankadon ke mutabik aagar san 1981 se tulna ki jaye to isss bimari per kabu pa lene ka dawa kiya gaya hai.Bharat mein privilance rate prati 10,000 ki aabadi mein 57 tha. 4million logon ka illaj ho raha tha aur aab sirf 83 hazar log iss rog se pidit hein aur privlance der 0.72 hai.

Per qua tan se iss rog ke mitt janne bher se hi mann per lage ghav aur samaj mein faile ghrina ke bhav ko mitaya ja sakta hai? Aakhir qua hai innki samasyain aur qua hein inki samaj v qanooon bananewalon se maang??

1948 mein swikrit manavadhikaron ki vaishvik ghoshnna ki prastavana mein 'Janmjatt samman' aur 'saman tatha aakhshunn samman' ko swatantrata,nyaya aur shanti ka aadhar bataya gaya hai.

Kalank aur samman ke aare aanewale parinamon ke viruddh chiddi muhim ke bhagidaar kushtpidit marizon ne nishchaye kiya ki tamam suchnaon ki swikriti jivan ki behtari ke liye aur durvyavhaar ke khatme ke liye kiya jaye.

Aakhir qua hai vah shapath jisse 4october 2006 ko kushtprabhaviton ke ek sammelan mein liyagaya? Qua ye ghoshnayein aur shapth zamini haqiqat bann payi? Inn ghoshnaon ke mutabik-
1-Sarkari aur gersarkari sangathnon dwara prayas kiya jaye ki kushthprabhavit logon ke virudh shiksha,rozgaar,aarogya sewa aur aawas ke sthanon per bhedbhav na ho.

2-Kusht prabhaviton ke prati manavadhikar dilane ke liye aur maulick aadhikaaron ke hanan ke virudh prashashn ko prothsahit kiya jate.
3- Kushtrog ke chalte talaq ko sahmati dekar bhedbhav ko badhava denevale kanoon radd kiye jayein.

4-Kalank ko mitane ke liye uchit sambhodhaan aur shabdon ka upyog aavashyak hai. 'kushtrogi','kodhi','maharogi' jaise aapmanjanak shabdon ke upyog per rok lage.

5-Kusthprabhaviton ke sangthnon ko sarkari aur gair sarkari sangthnon ke saath vikas karyon mein bhagidari ke avasar diye jayein.

6-Kushtprabhavit vyaktiyon ko rajyastaria aur rashtriye aayogon mein viqlangata kanoon ke tahat namankan prapt hon.

7-Hur pidit ko uske parivaar mein swikriti milnein ke liye hur prayas kiya jay.

8-Kushtprabhavit vyaqtiyon aur unke sangathanon ki aawaz upper uthane ke liye unki aapni ek sampark pranali banai jaye.

9-Kushtprabhaviton ke bachchon ko shiksha aur rozgaar mein saman avasar prapth hon.

10-Akhbaar,TV,tatha filmon mein kusthprabhaviton ko sammanpurvak dhang se dikhaya jaye. Iss abhiyaan mein aadhunik jankari dikhla ker madhyamon ke sahbhag ki parvi ki jaye.

11-varishth kusthprabhaviton ko aavas aur anya vyavsthayein muhaiyya karai jayein tatha kum se kum 1,000 rupee ki rashee pension ke roop mein di jaye.

12-Iss rog ki roktham ke liye viklaangta ke illaj ke liye aaspatal aur prathamik seva kendron mein ek sashkt pranali banayi jaye.

13-Kushth ke illaj hetu sarkari aarogya kendron ke karmchaari ke liye sarvangin dirghkalin prasheeshan karyakarm ho.

14-Kushthprabhaviton ko kushth ke vaishvik itihaas mein sthaan milna chahiye. Prashashaan v swayaamsevi sangthnon ke saath unhein aapne prayaas ektrit ker kusht ke unmulaan v jeevan sudhaar ka karya karna chahiye.

15-Kusht per aantim vijay tabhi prapt hogi jab hur prabhavit vyakti ka illaj ho chooka hoga.jab viqlangata shesh na rahegi, jab bhedbhav nasht ho chuke honge aur jab prabhavit nagrik ekjut ho hur anya nagrik ka samajik ohada prapt karenge.

Bas baat yeh hai ki kal taq jinhein koi pahchaanta bhi nahin tha,aaj veh aapne purre vajood ke saath ekjut ho kar saari badhayein paar karne ko taiyyar khare hein.
Aur eisa hua haikai swayem sevi saansthayein ki pahal se joki WHO aur rashtriya sarkar ke saath milkar iss marz ka illaj dhoondhne aur vishva ke hur kone taq iski dawa pahoonchane mein laga hai. Ye kushtprabhavit logon aur unke parivaar ko padhai-likhaai karvaane,rozgaar dilwane,jagrook aur swablambi hone mein sahyog dete hein.

Aaj 'malti drug therapy' ki vajah se yeh bimaari thik ho jati hai. Iska upchaar muft hai aur vishwa ke kisi kone mein uplabhd hone ka dawa kiya jata hai. Halanki bhuktbhogi marizoon ke mutabik bharat mein sarkari aaspatalon mein dressing ke alava koi suvidha aamtaur per uplabdh nahin hai. tvacha ki graphting ki machinein aur kushaal doctoron ke aander ghrina ki bhavna aab bhi maujood hai. Kuchh swayamsevi sansthaon ki madad se private aaspatalon mein iilaj kerva ker inka kam chalta hai, per yeh suvidha hur jagah uplabdh nahin hai. Gaon mein sthiti aur bhi dookhad hai quonki samajik roop se bhi inhein aacchut mannker bahishkar kiya jata hai.

'WHO' ke mutabik vishwa mein privilence rate prati 10,000 ki aabaadi mein ek vyakti ki kusht rog se prabhavit hona hai. Bharat mein iss der ke mutabik san 20005 mein iss bimari se mukti pa li gayi hai. San 2007 mein bimari ki samapti ko dekhte hue bharat sarkar ne rog ki khoj aur roktham v dekhbhaal ka 'vertical karyakarm' se dhyan hata ker 'horizontal karyakarm' per dhayan kendrit ker diya hai.

'Vertical karyakarm' mein ghar-ghar jaker bimari ki jaankari di jaati thi aur jaanch kiya jaata tha. Lekin 'Horizontal karyakarm' mein isske illaj ko samanya sarvajanik swasthya seva vyavastha ke tahat ker diya gaya hai. Iski vajah se iss rog per vishesh dhayan nahin diya jata aur bimari ka pata nahin chaal pata hai. Chupi houi sacchai yeh hai ki bimari jaddr se samapti ki ghoshna hone ke bavjood panap rahi hai aur aagami kucch salon mein mahamari ka roop bhi le saakti hai.

Vibha.C.Tailang(already published in Dainik Bhaskar-april 2008)

Bhroon hatya-ek abhishaap jo vyapar bhi hai....Vibha...C.Tailang

Subh sanket hai. Ek krantikari faisle ki shuruat hai. Palwal ke upmandal dandadhikari ki adalat ne Palwal mein ultrasound kendra chalane vale ek doctor aur uske sahayak ko PNDT act ke tahat do-do saal ki kaid aur paanch-paanch hazaar rupey zurmane ki saza sunayi hai.Isss faisale ke mutabik prasav poorv ling jaanch ko ek jaghanya jurm mante hue Palwal mein Anil ultrasound ke malik Dr.Anil Sobhani aur uske technique sahayak ko saza sunayi gayi. Swastheya vibhaga ki oor se yeh mamla october 2001 mein darz karvaya gaya tha. Issse pahle july 2003 mein Ropadr zila ki Neelam Kohli ko ek haazar rupea zurmana kiya gaya tha. Yeh qanoon san 1994 mein bana tha.

Qanoon banne ke barah salon baad pahli baar hue Iss faise mein UNDF ki Radhika Kaul Batra manti hain ki kami qanoon mein nahin balki isske karyavenyan mein hai. Aur issliye desh ki jansaaankhya anupat prati hazzar ladkon mein aath sao ladkiyan hain ya usse bhi kam. Bhartiya Canadian serve ke mutabik prati varsh 5,00.000(aaadhe millienium) Bhroon hatyaein humare desh mein hoti hain jabki bharat ke IMA ke serve ke mutabiq prativarsh 5milliienium bhroonn hatyein ho rahin hain.

'Putra Kuntha' se grasit humare samaj mein bhroon hatya takreeban 500-1,000 crore kamayiwala udyog hai jahan khatre ki goonjaish kum hi hai. Yahan prativarsh lakhon bhrunon ki hatya sirf das se pandrah hazar rupyon ke der per hoti hai. Inn doctoron ki jansankhyadesh ki jannsankhyan ka das pratishat hai. Aakhir sabko saza suna pana qua aasan kam hai? Khasker jabki unki aapsi batein code bhasha mein hoti ho? V for victory hai to beta hai, nahin to beti hai. Somvaar ko report lene aao...to beta hai aur sukravaar ko bulaya jaye too beti hai. Hariyana ke bhutpurva swasthya pramukh jahan issharon hi isharon mein kam hota ho vahan aaapradhiyon ko saza dilwana aasan nahin.'

Aur to aur, nayi taqniq PGD ke ijad hone se aapradhiyon ka kam aur aasan ho gaya hai. Vigyan ek oor aur aasan ho gaya hai. Vigyan ek oor hamari samasyain dur karta hai vahin doosri oor vah qanoon ka dhata batane ke naye naye tarike bhi dhoondh nikalta hai. Ek issi hi'khtrnak' taqniq bhi idhar chrcha mein hai. Isse PGD(ericson ki taqnic bhi kahtein kahtein hain)ya poorv ling nirdharann kahte hain) Iss mein stree ke aandashye se aande liye jate heinn. Fhir unhein ek tashtri mein prayogshaala mein 'fertilize' kiya jata hai...purush shukranuon ke saath. Isse badi nazakat ke saath ek'Inncubator' mein panapne ke liye rakha jata hai.

72 ghante baad 8koshikaon wale iss'yugm' ko ek behad unnat technic istemal karke prayogshala mein shaktishali shukhmdarshi ke neeche rakhkar isski shukhsm jaanch hoti hai. Keval xy(ex wai) kromozome se hi yeh pacca ker diya jata hai ki kritrim roop se ladka ka hi bhrooon sthapit ho.

To yahan zara hoshiyaari ki baat yeh hai ki bhroon bada ho fhir usska ling pata lage. Fhir uska garphpaat ker bhuroonhatya ki naobat hi na aaye. Yani ki shuru mein hi tay ho jaye ki jo'Baccha' honewala hai wah aage chalkar ladke ke roop mein hi paida ho to phir bhavishya mein bhuroon hatya ki zaroorat hi nahin padegi.

Yeh ek khatarnak technic hai aur mahenga bhi. Jismein jo log'Ladkon" ki chaah rakhte hein unke garbh mein 'Ladki" kabhi aane ki naubat hi nahin hogi. Iss technic per bhi nigrani rakhne ki zaroorat hai.

San 1990 mein Shri Amartya Sen ne likha tha ki jalde hi vishwa mein mahilaon ka aanupat 100 million kum hoga. Vajah hai Bharat,China,Dakhsin Korea mein bhroon hatya ki. Haal hi mein T.V.Shekhar aur Matiaz Larzan ke mutabik,"Bisvin sadi ke janganna report mein mahilaon ki jansankhya lagataar ghatti hui darz hui hai."

Aab sabse bada aur aaham sawal hai ki yeh vaishvik 'bimari', jismein humara desh bhi shamil hai, aakhir quon faiil rahi hai? Isske picche vajah hai humari ieetihasik, sanskritik aur samajik soch.

Humara samaj purush pradhan samaj hai. Yahan aaj bhi kunbay ka mukhiya purush hai aur uska nirnaya aantim hota hai. Uski aarthik aatmnirbhrta usse aaham darja deti hai. Jahan Purush ki kamai sampati hai,wahin sitriyon ki kamai matr tankhwah. Putr kunbey aur ma-baap ki zimmedari uddhanne ke liye baadhye hai. Issliye wah parivaar ki dhuri hai. Vaansh ko aage badhanewala hai. Badon ke mritue per' Mukhagni' dekar unhein mukti dilanewala hai. Striyan bahu ke roop mein vansh chalanewali machine hai. Parivaar ke aasmita, iizzat, ki pratik hai. Wah Padmini hai,Sati hai. Jhansi ki Rani bann sake isske liye picchle kucch prayas hue hain. Utradhikari kanoon mein bete-betiyon ko barabari ka derjadene ki peshkash hui hai. Per inn sanshodhano ne ladkiyon ki mushlilein badha di hein.

Dahej pratha se trast ma-baap nahin chahte ki sampati mein betiyon ko haq diya jaye aur issliye betiyan unn per bhar hain. Shikshan sanshthanon mein aaaj bhi prati kaqsha ladkon ki sankhya ladkiyon se aadhik hai. Ma-baap aaj bhi ladkon ki padhai mein adhik nivesh karna chahte hein. Aakhir betiyan too parayi ghar jayeingi.

Aakhir sadiyon se samarajya bananewale,vansh chalanewale, purwajon ke nam,dhan,yash ka uttaradhikari beta hi raha hai. Ladkiyon ko too sampati ke saath loota jata tha. Usse ghoonghat ya burqe mein sahej, sanjo aur saja ker rakha jata raha hai. Vah mata hai, prajapalak ya parivaarpalaj nahin. Stithiyan tezi se badal rahin heinn per uss mughalkaleen soch ki bedeyon se hum poori tarah mukht nahin ho paye hein. Phir badhte aapradh,youn shoshan,mahngai, berozgaari jahan jeevan saansat mein hai, veh striyon ko brabri ka darza dene ke liye itni aasani se kaise taiyyar honge??

Waqt karvat badal raha hai.Hur kshetra mein mahilayein dastak de rahin hein. Aagaz aaccha hai. Samasyain hein tooo nidaan bhi hoga. zaroorat hai-Ma-Baap betiyon mein nivesh karein. Unhe padha-likhaker susanskrit karen taki veh unki sahi uttradhikari bane aur unhein aade waqt per sahara de sake.Isske liye kanoonvidon ko kanoon mein sanshodhaan too karne hi padeinge ladkiyon ko bhi tamam kuritiyon ke khilaaf ladna aur aadna hoga.

Bhroon hatya kewal ek bhroon ki hatya hi nahin hai apiitu puree samaj aur insaaniyaat ki hatya hai. Iss per aankush lagaane ke liye puree samaj mein jagrookta ki aavyashkta hai. Aaj jahan hum stree ke mahan swaroop ko swikaar ker rahe hein wahin bhroon-hatyein jaisi kuritiyaan zoor pakaad rahin hai. Eisa zoorm kernevale doctors aur abhibhavkon ko aur bhi kadi saza di jaye to galat nahin hoga.

Vibha.c.Tailang(already published in Dainik Bhaskar 2008)

Swasthya Sambandhi suchna ka aadhikar aur manavadhikar...

Ek Gandhi mere aander bhi kahin basta hai. Shayad sare bharatvasiyon ke ander vah aaj tak hain,tabhi vah rashtrapita hain. Jab bhi Gulzar Saheb ki likhi panktiyan 'Machis' film ke gaane ka aantra sunti hoon ' chappa-chappa chrkha chale'-voh bhi kuch ugrvadiyon ke mukh se' tab yah yakeen aur gahra jata hai. Mein bhi chahti hoon sachaai,shanti,vivek,pragati,samridhhi ke rah ko hum jitna sadhe rakhenge- humara swabhiman, deshbhakti,manaviyta,karunabhav swabhav mein shumar ho jayega....!! Phir hum kuch bhi karenge issse humare alava desh ka ya samaj ka qua bhala hoga, yeh sochker karenge.

Aaj mein sanshipt mein soochna ke aadhikar aur khaaskar swashthya sambandhi sewaon mein aam logon ke bhagedari per bolna chahoongi. aap mein se kitne log iss soochna ke aadhikar ke baare mein jante ya isska upyog ker chuke hain?

Kis tarah se hum sab swasthyey sewaon mein aapni sakriya bhagidari nibha sakte hain? Kitnon ko pata hai kaise aapne swasthya ke prati jagrook hona aur uplabhd swasthya sewaon ka zaroorat padne per fayda udhana aavashyak hai? Yah sabka aadhikar hai.Saath hi aagar uske upyog mein koi badha aay too aap sawal bhi utha sakte hain. Yeh aapka aadhikar hi nahin kartavya bhi hai. san 2005 mein soochna ka aadhikar mila jiska matlab hai humare pass vah haq hai ki kisi bhi sarvjanik sarkari tantra se hum sawalat pooch sakte hain. Yeh kisi bhi sanstha ya daftar mein pardarshita vah accountibility banaye rakhne ke liye hai.

Soochna yani koi bhi kagzat chahe record ho,document ho,memoz ho,e-mail ho,vichaar ho, salahein ho, press vigyapti ho, circular order, logbook,contract,reports, papers,sample,models,data....aadi ho...humein aadhikar hai ki...

1-Hum inn karyon ya kagzaton ki jaanch parakh ker sakte hain.

2-Inke baare mein notes bana sakte hain-ya certified copiyan -kagzaton aur records ki jaankari le saakte hain.
3-Audio-video kisi bhi tarah ke documents ko vistaar se dekhne ke liye uplabdh karva sakte hain.

Hur daftar mein Public Information officer hain unka kam hai 30 dinon ke aaander jawab dein. Isske liye kooch fees deni padegi ya fhir vah batainge ki documents quon nahin dikhaye jayeinge.

Section 8 aur 9 ke tahat kuchh jankariyan diya jana mana hai. Swasthya sewaon mein soochna ke aadhikar ke kooch udhahran hain...

1- Soochna ke aadhikar se pata chala Aayurveda kendron ke kitne bure haal hain.

2-Sarkar per tambakooo udhyogon ka dabao taki sachritra sandhesh mita diyein jayeinnnn.

3-Swasthye ke prati agyanta.
4-Swasthya ke aadhar per bijli aur pani connection.
5-Sarkari swasthye sewa scheme
6-Swasthya vah medicine ki shikhsha
7-Aagar Swasthya mantralaya jawab na dein...RTI ke sawalon ko
8-Neem Haqeem...etc

Aditi Foundation ka laqshya hai RTI shashktikaran karyakaram taki isska labh aap sabko mile. Aap ki mada Aditi Foundation karegi, aagar koi samasya ho too.

Issi bhanti swasthya sambandhi manavadhikar ka aarth hai sabhi mahila, Purush,Bade,Chote ko manvadhikar hai ki sharirik aur manasik swasthya ko purii tarah kayam rakh sakein....bina kisi tarah ke bhedbav ke,jivan ke hur shun mein vyakti ki aapni swatantrata, aadhikar pane ka haq hai aur yeh uska manavadhikar hai.

Swasthya Sambandhi manvadhikar hain-

1-Manasik sukun, ya swasthye,shririk swasthya, va prajanan ya yon swasthya.
2-Sab ka bhojan per brabri ka aadhikar.
3-Chahe aap kisi bhi ling,jati vah varg ke hain- Sabhi ko barabar roop mein aachcha swasthya sovidhyein milni chahiye.
4-saf-suthiri peyjal aur sochsthal ki vyavstha honi chahiye.
5-Barabri se rahne(makan) aur jine ka haq bhi manvadhikar hai.
6-Swasthya aur swachch vatavaran bhi humara manavadhikar hai.
7-Daftaron mein suraqshit va svasth mahaul bhi hamara manavadhikar hai, visheshkar garbhvati mahila ko vishesh suraksha milna zaroori hai, varna ma-bachche ko nuksaan ho sakta hai.
8-Samajik kuritiyon ki vajah se bhedbhav, khaskar kanya broon hatya manavadhikar ke kilaf hai.
9-Humara manavadhikar hai ki humein swasthey sambhandhi shiksha aur soochna ka aadhikar hai, visheshkar jachaggi aur family planning ki-taki ve aapni prajanan swasthya ka khyal rakh sakein.
10-Bachon ka swasthye sambandhi manavadhikar hai ki unhein samprun vikas yani santoolit sharirik aur manasik vikas ka mahaul mil sake.

What does CSR means in my words...!!!

Let me explain you all what CSR means to me. Corporate Social Responsibilities is called Corporate Social opportunity,is a concept where organizations consider the interests of Society by taking responsibility for the impact of their activities on customers,suppliers, employees,shareholders,communities and other stakeholders as well as the environment. This obligation is seen to extend beyond the statutory obligation to comply with legislation and sees organization voluntarily taking further steps to improve the quality of life for employees and their families as well as for community and society at large.

In crowed market places,companies srtrive for a 'UNIQUE SELLING POINT',...Which can seprate them from the competition in the minds of consumers. CSR can play a role in building customer loyality based on distinctive ethical values. Several major brands on ethical values Bussiness service organizations can benifit too.

Corporations are keen to avoid interference in their bussiness through taxation or regulations. By taking substantive voluntary steps, they can persuade governments and the wider public that they are taking issues such as health and safety, diversity or environment seriously, and so avoid interventions. This also applies to firms seeking to justify eye catching profits and high levels of boardroom pay. Those operating away from their home country can make sure they stay welcome by being good corporate citizens with respect to labour standards and impact on the environment.

As corporations pursue growth through globalization, they have encountered new challenges that impose limits to their growth and potential profits. Governments regulations,tariffs,environment restrictions and varying standard of what constitutes labour exploitation are problems that can cost organizations millions of dollors. Some view ethical issues as simply a costly hindrance.Some companies use CSR methodologies as a strategic tactic to gain public support for their presence in global markets helping them sustain a competetive advantage by using their Social contributions to provide a subconcious level of advertising. Global competitions places particular pressure on multinational corporations to examine not only their entire supply chain,from a CSR perspective for building a reputation for unite integrity and best picture.

An invitation regarding this topic(CSR)...I had attended one seminar with the same group earlier in dec09.

Dear Vibha,

We would like to cordially invite you to the fourth CSR Roundtable - Panel Discussion on CSR Guidelines scheduled for 8th February at India International Centre (IIC). The voluntary guidelines on CSR have been recently brought out by the Ministry of Corporate Affairs.

Our distinguished panelists include: Mr S.Sen from CII, Dr Aqueel Khan from Association for Stimulating Know How (ASK), Mr Viraf Mehta from Partners in Change (PIC), Mr Asheesh Shah from Delhi Business School (DBS), Ms Amita Joseph from BCF. The panel will be chaired by Prof. Shri Ram Khanna from Voluntary Organisation in the Interest of Consumer Education (VOICE).

Please find enclosed the invitation for the same.

PROGRAMME DETAILS:

CSR Open Discourse Round Table: Panel Discussion on CSR Guidelines

Date: 8th February, Monday

Time: 6.30 pm - 8.30 pm

Venue: Conference Room 1, first floor
India International Centre (IIC)
40, Max Mueller Marg
New Delhi 110003
Ph: 24619431 Ext 377, 378 & 379

Programme Schedule:

6.30 - 6.45: Welcome & Introduction
6.45 - 7.45: Panel Discussion
7.45 - 8.25: Q & A & Discussion
8.25 - 8.30: Vote of Thanks

Please spread the word around and confirm your participation latest by 3rd February Wednesday. Please send in your confirmation through email to richatyagi@bcfindia.org or confirm by phone at 26012485, 32536392.

Thank you

Best regards

Richa Tyagi
Deputy Director
Business & Community Foundation
B - 26 Soami Nagar (South)
New Delhi 110017
Ph: +91 11 26012485, 32536392
Web: www.bcfindia.org



8th Feb CSR Roundtable Invitation.pdf
26K View as HTML Download




Reply Reply to all Forward Invite Richa to Gmail





Reply
Reply to all
Forward
Print
Add aditi to Contacts list
Delete this message
Report phishing
Show original
Message text garbled?
aditi foundation to Richa
show details Jan 29 (7 days ago)

Dear Richa!

Good to know that Voluntary guidelines on CSR have been recently brought out by the Ministry of Corporate affairs. My last time experience was good...It was nice to hear eminent experts of Bussiness schools speaking on CSR inclusion as mainstream subject lasttime...as till recently it was ELECTIVE subject....Definitly I'll try be there on time, on 8th Feb 10.Good wishes.

Thanks

Rgds

Vibha Tailang
ADITI FOUNDATION
- Show quoted text -




On 1/29/10, Richa Tyagi wrote:
Dear Vibha,

We would like to cordially invite you to the fourth CSR Roundtable - Panel Discussion on CSR Guidelines scheduled for 8th February at India International Centre (IIC). The voluntary guidelines on CSR have been recently brought out by the Ministry of Corporate Affairs.

Our distinguished panelists include: Mr S.Sen from CII, Dr Aqueel Khan from Association for Stimulating Know How (ASK), Mr Viraf Mehta from Partners in Change (PIC), Mr Asheesh Shah from Delhi Business School (DBS), Ms Amita Joseph from BCF. The panel will be chaired by Prof. Shri Ram Khanna from Voluntary Organisation in the Interest of Consumer Education (VOICE).

Please find enclosed the invitation for the same.

PROGRAMME DETAILS:

CSR Open Discourse Round Table: Panel Discussion on CSR Guidelines

Date: 8th February, Monday

Time: 6.30 pm - 8.30 pm

Venue: Conference Room 1, first floor
India International Centre (IIC)
40, Max Mueller Marg
New Delhi 110003
Ph: 24619431 Ext 377, 378 & 379

Programme Schedule:

6.30 - 6.45: Welcome & Introduction
6.45 - 7.45: Panel Discussion
7.45 - 8.25: Q & A & Discussion
8.25 - 8.30: Vote of Thanks

Please spread the word around and confirm your participation latest by 3rd February Wednesday. Please send in your confirmation through email to richatyagi@bcfindia.org or confirm by phone at 26012485, 32536392.

Thank you

Best regards

Richa Tyagi
Deputy Director
Business & Community Foundation
B - 26 Soami Nagar (South)
New Delhi 110017
Ph: +91 11 26012485, 32536392
Web: www.bcfindia.org







Reply Forward