शुक्रवार, 5 फ़रवरी 2010

30 jan-vishwa kusht rogya diwas....vibha.c.Tailang

FHIR SE MAHAMARI KI AAHAT-KUSHT KA ROG

Aaj viksit aur vikassheel deshon ke beech jo asamanta ki khai hai usse patne ki bharsak koshish chaal rahi hai. Per ek samanta hai jo logon ko nazar nahin aa rahi hai, vah hai, KUSHTPIDIT logon ke saaath bhedbhav bhara aasamanya vyavhaar aur iss bimari ko karne ka ek sarthak prayas.

Leprosy yani kusht ki bimari tvacha aur snayu ko prabhavit karti hai. Agar isska illaj vaqt rahte na kiya jaye to shakl aur sharir ke doosre aang galne lagte hein. Iss bimari se anekon kisse aur bhrantiyan judin hein. Kucch isse purv janm ke pap ki saza mante hein. Kuchh purane v naye testament ka zikr kerte hein to koi pracheen china ke dastavezon ka udaharann dete hein. Chatthi shatabadi ke bhartiye sahitya mein bhi isska zikr hai. Salon saal inn kissse aur kahaniyon ne iss bimari ke prati logon ke sooch mein darr aur ghrina ki bhavna bhar di. Inn per aadharit filmein bani, natak aur dharavahik banaye gaye. Per inn logon ke prati chuachut ki bhavna aur inhein aachut man ker privaar aur jaat se bahar ker ekaki aur aasahaye jivan vyatit kerne per majboor kerna aab taq jari hai. Abhi bhi iss rog se pidit vyakti doosron ke daan per ya bhik maang ker gujaara kerne per majboor hein. Gine-chune log hi isse hein jo aatmnirbhar hein. Iss ekissvin sadi mein bhi kusht prabhavit rogiyon ko thik ho jane ke baad bhi rogi ki tarah vyavhaar kiya jaata hai. Shaadi-vivah,naukari ya samanya padhai se bhi ve mohtaj ker diye jate hein. Bharat samet kai desh hein jahan ka kanoon iss rog se grasit vyatiyon aur samanya nagrik mein bhedbhav karta hai. Anya deshon mein America,Brazil,China,Ghana,Japan jaise desh hain jahan manavadhikaron ke hanan ka mamla aaksar samne aata hai.

Aaj ki tarikh mein taaza aankadon ke mutabik aagar san 1981 se tulna ki jaye to isss bimari per kabu pa lene ka dawa kiya gaya hai.Bharat mein privilance rate prati 10,000 ki aabadi mein 57 tha. 4million logon ka illaj ho raha tha aur aab sirf 83 hazar log iss rog se pidit hein aur privlance der 0.72 hai.

Per qua tan se iss rog ke mitt janne bher se hi mann per lage ghav aur samaj mein faile ghrina ke bhav ko mitaya ja sakta hai? Aakhir qua hai innki samasyain aur qua hein inki samaj v qanooon bananewalon se maang??

1948 mein swikrit manavadhikaron ki vaishvik ghoshnna ki prastavana mein 'Janmjatt samman' aur 'saman tatha aakhshunn samman' ko swatantrata,nyaya aur shanti ka aadhar bataya gaya hai.

Kalank aur samman ke aare aanewale parinamon ke viruddh chiddi muhim ke bhagidaar kushtpidit marizon ne nishchaye kiya ki tamam suchnaon ki swikriti jivan ki behtari ke liye aur durvyavhaar ke khatme ke liye kiya jaye.

Aakhir qua hai vah shapath jisse 4october 2006 ko kushtprabhaviton ke ek sammelan mein liyagaya? Qua ye ghoshnayein aur shapth zamini haqiqat bann payi? Inn ghoshnaon ke mutabik-
1-Sarkari aur gersarkari sangathnon dwara prayas kiya jaye ki kushthprabhavit logon ke virudh shiksha,rozgaar,aarogya sewa aur aawas ke sthanon per bhedbhav na ho.

2-Kusht prabhaviton ke prati manavadhikar dilane ke liye aur maulick aadhikaaron ke hanan ke virudh prashashn ko prothsahit kiya jate.
3- Kushtrog ke chalte talaq ko sahmati dekar bhedbhav ko badhava denevale kanoon radd kiye jayein.

4-Kalank ko mitane ke liye uchit sambhodhaan aur shabdon ka upyog aavashyak hai. 'kushtrogi','kodhi','maharogi' jaise aapmanjanak shabdon ke upyog per rok lage.

5-Kusthprabhaviton ke sangthnon ko sarkari aur gair sarkari sangthnon ke saath vikas karyon mein bhagidari ke avasar diye jayein.

6-Kushtprabhavit vyaktiyon ko rajyastaria aur rashtriye aayogon mein viqlangata kanoon ke tahat namankan prapt hon.

7-Hur pidit ko uske parivaar mein swikriti milnein ke liye hur prayas kiya jay.

8-Kushtprabhavit vyaqtiyon aur unke sangathanon ki aawaz upper uthane ke liye unki aapni ek sampark pranali banai jaye.

9-Kushtprabhaviton ke bachchon ko shiksha aur rozgaar mein saman avasar prapth hon.

10-Akhbaar,TV,tatha filmon mein kusthprabhaviton ko sammanpurvak dhang se dikhaya jaye. Iss abhiyaan mein aadhunik jankari dikhla ker madhyamon ke sahbhag ki parvi ki jaye.

11-varishth kusthprabhaviton ko aavas aur anya vyavsthayein muhaiyya karai jayein tatha kum se kum 1,000 rupee ki rashee pension ke roop mein di jaye.

12-Iss rog ki roktham ke liye viklaangta ke illaj ke liye aaspatal aur prathamik seva kendron mein ek sashkt pranali banayi jaye.

13-Kushth ke illaj hetu sarkari aarogya kendron ke karmchaari ke liye sarvangin dirghkalin prasheeshan karyakarm ho.

14-Kushthprabhaviton ko kushth ke vaishvik itihaas mein sthaan milna chahiye. Prashashaan v swayaamsevi sangthnon ke saath unhein aapne prayaas ektrit ker kusht ke unmulaan v jeevan sudhaar ka karya karna chahiye.

15-Kusht per aantim vijay tabhi prapt hogi jab hur prabhavit vyakti ka illaj ho chooka hoga.jab viqlangata shesh na rahegi, jab bhedbhav nasht ho chuke honge aur jab prabhavit nagrik ekjut ho hur anya nagrik ka samajik ohada prapt karenge.

Bas baat yeh hai ki kal taq jinhein koi pahchaanta bhi nahin tha,aaj veh aapne purre vajood ke saath ekjut ho kar saari badhayein paar karne ko taiyyar khare hein.
Aur eisa hua haikai swayem sevi saansthayein ki pahal se joki WHO aur rashtriya sarkar ke saath milkar iss marz ka illaj dhoondhne aur vishva ke hur kone taq iski dawa pahoonchane mein laga hai. Ye kushtprabhavit logon aur unke parivaar ko padhai-likhaai karvaane,rozgaar dilwane,jagrook aur swablambi hone mein sahyog dete hein.

Aaj 'malti drug therapy' ki vajah se yeh bimaari thik ho jati hai. Iska upchaar muft hai aur vishwa ke kisi kone mein uplabhd hone ka dawa kiya jata hai. Halanki bhuktbhogi marizoon ke mutabik bharat mein sarkari aaspatalon mein dressing ke alava koi suvidha aamtaur per uplabdh nahin hai. tvacha ki graphting ki machinein aur kushaal doctoron ke aander ghrina ki bhavna aab bhi maujood hai. Kuchh swayamsevi sansthaon ki madad se private aaspatalon mein iilaj kerva ker inka kam chalta hai, per yeh suvidha hur jagah uplabdh nahin hai. Gaon mein sthiti aur bhi dookhad hai quonki samajik roop se bhi inhein aacchut mannker bahishkar kiya jata hai.

'WHO' ke mutabik vishwa mein privilence rate prati 10,000 ki aabaadi mein ek vyakti ki kusht rog se prabhavit hona hai. Bharat mein iss der ke mutabik san 20005 mein iss bimari se mukti pa li gayi hai. San 2007 mein bimari ki samapti ko dekhte hue bharat sarkar ne rog ki khoj aur roktham v dekhbhaal ka 'vertical karyakarm' se dhyan hata ker 'horizontal karyakarm' per dhayan kendrit ker diya hai.

'Vertical karyakarm' mein ghar-ghar jaker bimari ki jaankari di jaati thi aur jaanch kiya jaata tha. Lekin 'Horizontal karyakarm' mein isske illaj ko samanya sarvajanik swasthya seva vyavastha ke tahat ker diya gaya hai. Iski vajah se iss rog per vishesh dhayan nahin diya jata aur bimari ka pata nahin chaal pata hai. Chupi houi sacchai yeh hai ki bimari jaddr se samapti ki ghoshna hone ke bavjood panap rahi hai aur aagami kucch salon mein mahamari ka roop bhi le saakti hai.

Vibha.C.Tailang(already published in Dainik Bhaskar-april 2008)

2 टिप्‍पणियां:

बेनामी ने कहा…

Leprosy ka ilaj hai.. Aaj ke time me.. Or hai bhi to iska ilaj karane ke bad ye vapas ho sakta hai....plz aap detail me bataye sir....

बेनामी ने कहा…

Leprosy ka ilaj hai... Agar hai bhi to ek bar iska ilaj karane ke bad vapas ye bimari ho sakti hai.. Plz detail me iska answer de or jaldi de.. I am waiting for ur answer....