सोमवार, 26 अक्टूबर 2009

Ek prayas apne aas pass

Iss varsh 30jan'09 ko hamnein doo certificate banne ke liye diye the, Income Tax office mein, jisse bann nein mein 8 mahine lagein, sept 25,09 ko chitthiyaan milien-thanks to our govt offices slow working or non-functioning style- without corruption....finally humne aapne aas paas ek baar fhir kuch karyakaram karne ki koshish ki, yeah ek koshish lagbhag kamyaab thi per logon tak pahunchna, mann-mastishk mein ghus ker badlao ki koshish jaari hai.Pahle kisi aur sanstha ke saath kam ker rahi thi, aab apne sanstha ke liye...kam ker rahi hun, pichle varsh kuchh nazdiki schools mein kam shuru kiya tha, aab sabko saath lekar chalna chahti hoon.

Ek GANDHI mere aander bhi kahin basta hai. Shayaad aap sab mein bhi bass raha hoga. Mein jab bhi 'GULZAAR SAHEB' ki 'MACHHIS' film ki voh panktiyaan sunti hoon,' chappa-chappa charkha chale'...in film sung by extremist boys....tab ye yakin aur bhi gahara jata hai. Mein chahti hoon saachchayi, imandaari,shaanti,vivek,pragati,sammriddhi,ke rah ko hum jitna saadheinge, hamara swabhimaan,deshbhaakti, karunabhav, hamare swabhav mein shumar ho jayega. Fhir hum kucch bhi karenga aapne alava desh aur samaj ke hiit ko sooch ker hi karenge.

Mein Mahatma Gandhiji ke 'TOLSTOY FARM' or SHRI RABINDRA NATHji ke 'SHAANTINEKETAN' ki nakal to nahin ker sakti hoon,per ek prayaas kerna cahhati hoon'JAGEIN HUM'...yeh hai awakening campaign ...isski shuruat Health Awareness Workshops Aur PERSONALITY DEVOLOPMENT CLASSES se hui hai. Saath hi hum 'RTI' aur Human rights and duties ki jaankari ke/ upyog ke himayaati hain, iss se sambandhith zarurtmandon ki bharsak madad karenge.

TO BE CONTD.....

कोई टिप्पणी नहीं: